Baaz log fitrat'an Ehsaan-Faramosh hotay hei'n.. Phir waqt ke saath
unka ye marz iss qadar berh jata hai.. ke baqi sab log bhi unko khud
jese dikhnay legtay hei'n.. aur iss terha.. woh apni saari zindagi
Ehsaan-Faramoshi ke sookhay darakht talay guzaar detay hei'n... aik eysa
darakht.. jo na tau unko halaat ki tapish se bacha sakta hai.. aur na
hi kabhi daimi sukh ka koi phall de sakta hai... aur phir bil'aakhir
unhi ki terha aik roz.. zindagi bhi unko.. faramosh ker deti hai...
- by Usama Naeem
- by Usama Naeem