Thursday, May 31, 2012

True Story (urdu)

Baaz log fitrat'an Ehsaan-Faramosh hotay hei'n.. Phir waqt ke saath unka ye marz iss qadar berh jata hai.. ke baqi sab log bhi unko khud jese dikhnay legtay hei'n.. aur iss terha.. woh apni saari zindagi Ehsaan-Faramoshi ke sookhay darakht talay guzaar detay hei'n... aik eysa darakht.. jo na tau unko halaat ki tapish se bacha sakta hai.. aur na hi kabhi daimi sukh ka koi phall de sakta hai... aur phir bil'aakhir unhi ki terha aik roz.. zindagi bhi unko.. faramosh ker deti hai...

- by Usama Naeem